Wednesday, March 12, 2008

Urdu Poetry

"Ghum unko bhi naseeb hotay hainJo log khushnaseeb hotay hainHota hai dunya main koi aik hi apnaWarna saray dusray raqeeb hotay hain
----
"mere zindagi ka her lamha teray hi naaam hai,,kabhi yadon main toh kabhi dil main tera ehsas hai,,her lamhay ki alag kahani hai,,jaisay khushiyon ki ruut suhani hai,,piyar main taraph piyar main ehsas hai,,kabhi naami hai in aankhon main,,kabhi khushiyon ki bahaar hai,,her lamha bess tera hi kheyal hai,,ju mere her khushi her yaad ki shurowat hai,,
----
"badalna ata nahi humay mosamoon ki tarhahar aik rut may tara intizaar kartay hainna tum samait sako gay jasay qayamat takkasam tumhary tumhay itna pyaar kartay hain
---
Uff Yeh Larkiyan...Uff yeh naram nazuk or shuh-wa-chanchal larkiyanMeer ka dard Jigar ka kalam Ghalib ki ghazal larkiyan Mur kyun na miten in kali kali sayah ankhon perMitih jo bhar bhar jahan thapati hain kajal larkiyan Naghan hi to ban kar dasti hain humain yeh sayah zulfainAzad chor kar jab ghale main dalti hain anchal larkiyan Chaliss sala ko aunty kaha bura man gayi mosufa...Rehna chahti hain yeh jawan ab to har pal larkiyan Haqeqat likhte hain hum khushamad nahi kartay yarooAger kahan ge to shouk se kahain toheed ko pagal larkiyan
---
Tere NaaM!A Ghazal by Toheed Saeed Tere Naam Hum Ne Kiya Hai Jiwan Apna Sara SanamPyaar Bohat Kartan Hain Tum Se Ishq Hai Tu Humara SanamGulshan Bhi To Ab Werana Lagta Hai Har Apna Hum ko Begana Lagta HaiHum Teri Yadoon Main Khoye Rahte Hain Log Humain Pagal Dewana Lahte HainTere Bina Tere Bina....Tere Bina Na Mumkin Hain Zindagi Ka Guzara SanamNanu Se Bahte Ashkon K Dharun Main...Hum Ne Tujh Ko Dekha Chand Sitaron MainWirha Ki Agni Main Pal Pal Tapti HainAb To Sansain Teri Mala Japti HainTere Liye Tere Liye...Tere Liye Is duniyah Ka Har Sitam Hai Guwara Sanam Tere Naam Hum Ne Kiya Hai Jiwan Apna Sara SnamPyaar Bohat Kartan Hain Tum Se Ishq Hain Tu Humara Sanam
---
Meri tanhahiyo ko samaz sako to saath apna dijiyeMere gum ko apna sako to payar mujse kijiye
Raahe nahi ye aasa, kanto se bhara safar haiGar chal sako inpe to haath apna dijiyeMere payar ko samaz sako to payar mujse kijiye
Chand tare tord sakoon ye meri bas kee baat nahiTere siway kuch bhee to mere pass nahiApna mujko bana sako to dil main mujko basa lijiyeMere payar ko samaz sako to payar mujse kijiye
Iss duniya se hoon bekhabar, na kohi manjil na dagarApni dunia main le ja sako to awaz mujko dijiyeMere payar ko samaz sako to payar mujse kijiye
Gumnaam hoon main, na meri kohi pachaanIss dunia se bekhbar, khud se anjaanMeri pachaan ban sako to pata apna dijiyeMere payar ko samaz sako to payar mujse kijiye
Jindi bhar ke safar main saath gar de sako toHamsafar hum ko bana lijiyeMere payar ko samaz sako to payar mujse kijiye
---
Kaheen Aik Masoom Nazuk Si LerkiBohot Khubsurat Magar Sanwali SiBohot Khubsurat
Mujhe Apne Khowabon Ki Bahon Mein Pa KerKabhi Neend Mein Muskurati to HogiUssi Neend Mein Kusmasa Kusmasa KerSarhane Se Takiye Girati To Hogi
Wohi Khowaab Din Ki Mundairon Pe Aa keUsse Mun Hi Mun Mein Lubhate To Houn GeWohi Saaz Seene Ki Khamoshiyon MeinMeri Yaad Se Jhanjhanate To Houn GeWoh Besakhta Dheeme Dheeme Suron MeinMeri Dhun Mein Kuch Gungunati To Ho GiKaheen Aik Masoom Nazuk Si LerkiBohot Khubsurat Magar Sanwali SiBohot Khubsurat
Chalo Khat Likhein Jee Mein Aata To Ho GaMagar Ungaliyaan Kapkapati to Houn GiQalam Hath Se Choot Jaata To Ho GaUmangain Qalam Phir Uthati To Houn GiMera Naam Apni Kitaabon Pe Likh KerWoh Daanton Mein Ungali Dabati To Ho Gi
Kaheen Aik Masoom Nazuk Si LerkiBohot Khubsurat Magar Sanwali SiBohot Khubsurat
Zuban Se Kabhi Uff Nikalti To Ho GiBadan Dheeme Dheeme Sulagta To Ho GaKaheen Ke Kaheen Paon Parte To Houn GeZameen Pe Dupatta Latakta To Ho Ga
Kabhi Subha Ko Shaam Kehti To Ho GiKabhi Raat Ko Din Batati To Ho Gi
Kaheen Aik Masoom Nazuk Si LerkiBohot Khubsurat Magar Sanwali SiBohot Khubsurat
---
"khud hi ko khud ba khud tabaha kiya hai maine,aur tabahi pe apni wah wah kiya hai maine. chaha tha viran zindagi mein apni range ishq bharu,jahan ka bas yahi ek gunaha kiya hai maine. maut meri manzil hai badh raha uski taraf,zindagi teri kab parwah ki hai maine. teri surat, teri tasvir, teri aankho se tadapkar,bar bar aaha kiyahai maine."
---
Roye Hai Buhat Tab Zara Karaar Mila HaiIs Jahan Mein kise Bhala Sacha Pyaar Mila He
Guzar rahi hai zindagi Imtehan ke daur seEk khatam Hua Toh Dusra Tayar Mila Hai
Mere Damaan ko khushiyo ka nahi MalaalGham ka khazana jo isko beshumar mila hai
Woh kamnasib hai jinhe mehboob mil gayaMein khushnasib hun mujhe Intezar mil gaya
Gham nahi mujhe ki Dushma hua yeh zamanaJab Dost Hathoon Mein Liye Talwar Mila Hai
Sab Kuch Khuda Ne Tum Ko Bhala Kaise De DiyaMujhe Tou Uske Dar Se Sirf Inkaar Hi Mila hai
---
gaybana-taaruk sa rakhte hain... khilti khushiyon se....maazrat maangte rehte hain...murjhaye chehron se...shabdoon se anbhigya ho kar baatein kiya karte hain...ijaazat maangte rehtein hain...kuch sir-phiron se...mehfiloon ki tanhayiyon par gaur farmaate huye...guftagu kiya kartein hain...fazool ki baaton se...aankhon ki nami ko lau bana kar timtimaate hain.....shaamil ho,guzra kartein hain... hijr ki raaton se......sard duhaayiyon se chip ke baithein hain....khauff-zada rehtein hain... ankahe alfaazon se....
---
Baatein teri uttarti hain Dil main Qaraar ban ke Pyaar tera barasta hai mujh par phuwaar ban ke Duniya sitam kare mujh par parwaah nahi mujhe Pyaar tera rehta hai mere gird hisaar ban ke Jazbe sache the jo mil gaye hum dono Duniya laakh aayi darmiyaan dewaar ban ke Zor koi Dil per apna ab chalta nahi hai Pyaar main tere reh gaye be ikhteyaar ban ke
---
Hamko kyon tumne bhula diyaDekhe hansi hontho pePhir kyon itna rula diya
Jin hatho ka tha saharaUnhone hee duba diyaHamko chhod majdhaarKhud sahil pe gaya
Mere gum kee ye daastaSunta hai zameen ashmmaEk na sune wahiJiske liye jita hoon yahana
Hamko mila ye kya silabhulyaa jinke liye sabkoUnhone hee hamko kyon bhula diya
Dard hai dil mainAnkho main anshoo mereDin ke ujale mainab bhee sapne dekhoon tere
Na hai ab koi manjilMile na kohi rasteLagta hai jese ye jindgiMili hame Gum ke waste
Bhula esa kyon diyaJee na paaye chahkar bheeHum to tumko bhula na paayengeshayad ab to markar bhee
---
HUM PIYAAR KARTAY HAIN Dil Hi Dil Main Hum Un Say Pyaar Kartay Hain Chup-Chap Unki Mahobbat Ka Intezaar Kartay Hain Jin Rahoon Par Un Ka Chalna Mushkil Hai Un Hi Rahoon Pay Hum Un Ka Intezaar Kartay Hain ANKHOON MAIN AANSOO Aankhon Main Aanso Aa Jatay Hain Phir Bhi Labon Pay Hansi Rakhni Parti Hai Yeh Mohabbat Bhi Kya Cheez Hai Yaaro Jisay Chahtay Hain Usi Say Chupani Parti Hai AANKHOON KI ZUBAAN Aankhon Ki Zuban Woh Samajh Nahin Patay Hoont Magar Kuch Keh Nahin Patay Apni Bebassi Kis Tarhan Kahain Hum Koi Hai Jis K Bina Hum Reh Nahin Patay---
Mujhe Mere Hall Per Chor Diya.
Meri jana ne aaj mujhe mere haal per chor diya.Woh mera haal janti to hai phir bhi mujhe mere haal per chor diya.
Main apni hi uljhnon main uljha raha aur qissa tamam hua.Hona tha kia janab us ne mujhe mere haal per chor diya.
Mujh se door to nahin woh uski aahaten bhi suna karta hoon main.Unke dil main basta hoon main aur mujhe mere haal per chor diya.
Kia karo ge kaise jiyo ge mujh se poocha bhi nahin.Munh mor kar chal diye aur mujhe mere haal per chor diya.
Mere pas se guzar gae mera haal bhi na poocha.Patthar bana diya aur mujhe mere haal per chor diya.
---
Zindagi Pay Aik Khauf Sa Taarri Hai Zindagi Pay Aik Khauf Sa Taarri Hai Teri Yadoon Ka Aik Azaab Sa Jarri Hai Bhullana Tujhay Iss Qadar Nahi Hai Aasan Aik Umer Tere Naam Pay Guzaari Hai Thakk Kar Betha Hai Yahan Kaun Bhaala Khwahishon Ka Safar Abhi Jaari Hai Lagg Kar Deewar Say Nidhal Sa Betha Hai Woh Jiss Nay Ro Ro Kar Raat Sarri Guzarri Hai Ashako Nay B Ab Aankho Ka Saath Choor Diya HaiItna Rooya Hoon Main K Aankh Ab Num say Khali hai Ye sab Teri Mohabbat Ka Kasoor Hai Sab khoo Kay bhie Dil teri Yaad mai Tarri hai
---
jab ayee tumhari yaad,
ek ahaat nikal paddi,
kuch mehsoos hua uske baad,
aa gayee tumhe milne ki ghaddi....

kitni durr jab hum hai rehtey,
aksaar hota hai ek ehsaas,
shayad har waqt hum mill saktey,
agar hum rehtey paas paas...

magar hum kabhi nahin jaan saktey,
kitna karte hai tumhe pyaar,
kyunki agar hum saath saath rehtey,
toh jagad baithtey baar baar.............



Unki Aakho Ka Dokha Humne Bhi Khaya Hai
Nazar Se Nazar Mila Ke Dil Humne Bhi Khoya Hai
Duniya Ko Kya Batia Is Tute Dil Ka Haal
Tir-E-Nazar Ka Dokha Humne Bhi Khaya Hai


Raat kya chali gayisitaare chale gaye,
Gairo se kya gila jab apne chale gaye.
Jeet to sakte the ishq ki baazi hum bhi,
Par unhe jitane ke liye hum haarte chale gaye.


Mujse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine,
teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine,
jis pe likha tha ki tu mere muqaddar mein nahi,
apne maathe ki woh tehreer mita li meine,

har janm sabko yahaan sachha pyaar kahaan milta hai,
teri chaahat mein to umr bita li meine,
mujhko jaane kahaan ehsaas mere le jaayein,
waqt ke haathon se ek nazm utha li meine,

ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
teri yaadon se har ek saans saja li meine,
jiske sheron ko woh sunke bahut roya tha,
bas wohi ek ghazal sabse chupa li meine.
---
~*Kuch Likhna Chahata Hoon*~


Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon ?

Pholoon Ki Woh Mehakti Khushboo
Barish Ka Woh Bhega Pani
Aur Hawa Mein Thi Jo Rawani
Kya Uss Mousam Ka Khumaar Likhoon?

Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon?

Thi Chehrey Par Unkey Masomiyat
Aankhoon Mein Thi Thori Shararat
Aur Baatoon Mein Woh Nazakat
Kya Unka Rangeen Mizaaj Likhoon?

Kuch Likhna chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon?

Unka Aaker Muskurana
Jo Rooth Jaon To Manana
Jate Jate Phir Rulana
Kya Unka Yeh Andaaz Likhoon?

Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon?

Yaadoon Mein Unkey Ashk Bahana
Her Shaam Ek Diya Jalana
Soi Umeed Ko Roz Jagana
Kya Unka Yeh Intezar Likhoon?

Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhon
---
Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do

Buhat bawafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do

Mila to kia mila tumhein chahney kay baad
Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do

Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do

Mar hi gaye auroon kay liye hum
Tum apni khatir hum ko Zinda rehney do...!!
---
Aansoo May Na Dhoondna Humey,
Dil May Hum Bas Jaayenge,

Tamanna Ho Agar Milne Ki,
To Band Aankhon May Nazar Aayenge.

Lamha Lamha Waqt Guzer Jaayega,
Chund Lamhoo May Daaman Choot Jaayega,

Aaj Waqt Hai Do Baatein Kar Lo Humse,
Kal Kya Pata Kon Apke Zindagi May Aa Jayega.

Paas Aakar Sabhi Door Chale Jaate Hai,
Hum Akele The Akele Hi Reh Jaate Hai,

Dil Ka Dard Kisse Dikhaaye,
Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaate Hai,

Waqt To Humey Bhula Chuka Hai,
Muqaddar Bhi Na Bhula De,

Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Karte,
Kyunke Darte Hai,Koi Phir Se Na Rula De,

Zindagi May Hamesha Naye Log Milenge,
Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge,

Aitbaar Zara Soch Kar Karna,
Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge.

Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge,
Sukon Ban kar Dil Me Utar Jayenge,

Mehsoos Karne Ki Koshish To Kijiye,
Door Hote Hoye Bhi Pass Nazer Aayenge
---
Aankhon k hont see diyey kis nay
Itnee chup chap na theen kabhi pehlay
Isharon hi Isharon main wo batain keh hi daitee theen
khulay lafzon kabhi jin ka zuban izhar na kar paey
Na janay kis liyey chup chap see gum sum si rehtee hain
Keh jaisay baat karnay se zuban jaltee ho aankhon ki
Nighahon ki yeh Khamoshi faqat itna batatee hai
Muhabat ka agar izhar zuban se kar dia jaey....
Nigahain chup ho jatee hain.
---
aankh ban jaatee he ghetaa' shaam k baad
laut jata he ager koee khafaa' shaam k baad
woh jo tal jaatee he ser se balaa' shaam k baad
koee to he jo deta he sadaa' shaam k baad
aahein phirtee hain shab-o-hijer yateemon kee tarha
sard ho jaatee he her roz hawaa' shaam k baad
shaam tak qaid reha kertay hain dil k ander
dard ho jaatey hain sab rihaa' shaam k baad
hum ne tenhaii se poocha hum se milo gee kab tak
us ne bechainee se foren keha shaam k baad
tum gaye ho to siyaah rang k kepray pehne
phirtee rahtee he mere ghar main khizaa' shaam k baad
laut aatee he meri shab kee ibaadet khaali
jaaney kis arsh pe rehta he KHUDA' shaam k baad
maar deta he ujer jaaney ka dohraa' ihsaas
kaa$h koee bhee na ho kisee se juda...$hAm K baad...!!!!
---
Ajeeb larka hoon khud ko jalana chahta hoonMai khud ko rakh ker kaheen bhool jana chahta hoon
Mere naseeb ki khushiyaan bhee kab mili mujh koBas ab to umer bher aansoo bhana chahta hoon
Najanay kitni mohabbat hai ranj-o-ghum se mujheKoi bhee dard ho dil mai chupana chahta hoon
Baha baha k ye aasnoo bikhar chuka hoon bohatSimat k zaat mai ab muskurana chahta hoon
Jisay eik umer dil mai chupa k rakha haiWo raaz aaj mai sab ko batana chahta hoon
Wahee hai yaad jo acha kaha hai logon neBaqi saaray sitam bhool jana chahta hoon
Mujhe zamanay ne pathar samjh liya hai magerMai eik larka hoon sab ko batana chahta hoon
Jo mujh se rooth chuke hain zamanay ki khushiyaanTo mai bhee un khushiyoon se rooth jana chahta hoon
Koi to ho jo lagaye mujhay seenay seKisi ko mai bhee apnay ghum sunana chahta hoon
Tu apnay dil k her eik dar ko khool dayMai dard ban ker teray dil mai aana chahta hoon
---
Dil ki chokhat pey jo aik deep jala rakha hai Tere laut aanay ka amkaan saja rakha hai Saans tak bhi nahin letay hain tujhey
sochtay waqt Hum ney is kaam ko bhi kal pey utha rakha hai Rooth jatay ho to kuch aur haseen lagtay ho Hum ne yeh soch key hi
tum ko khafa rakha hai Tum jissey rota hua chor gaye theh aik din Hum ney us shaam ko seenay se laga rakha hai Chain lenay
nahin detey kissi taur mujhey Teri yaadon ney jo tofaan uthaa rakha hai Janay walay ney kaha thah keh wo lautey ga zaroor Aik
issi aas pe derwaza khula rakha hai Terey janay sey jo aik dhool uthi thi ghum ki Hum ney us dhool ko aankhon mein basa rakha
hai Mujh k
---
Waqt ki raftaar key saath tu chalna seekh ley Dard seh kar iss jahan mein muskurana seekh ley Doosron sey shikwa karna aur
shikayat chaur dey Harr kissi sey piyar karna aur dil lagana seekh ley Kaanch key tukrey parey hein zindagui ki rah par
Kaanch key tukron par chal kar tu bhi jina seekh ley Ghum uthaa kar muskurana, kaam yeh waliyon ka hai Auliyaa key
naksh-รจ-paa par tu bhi chalna seekh ley Kiss qadar insaan ajiiz hai zamaney mein "Qamar" Doosron sey piyar kar aur khud sey
larna seekh ley
---
Dil ki chokhat pey jo aik deep jala rakha hai Tere laut aanay ka amkaan saja rakha hai Saans tak bhi nahin letay hain tujhey
sochtay waqt Hum ney is kaam ko bhi kal pey utha rakha hai Rooth jatay ho to kuch aur haseen lagtay ho Hum ne yeh soch key hi
tum ko khafa rakha hai Tum jissey rota hua chor gaye theh aik din Hum ney us shaam ko seenay se laga rakha hai Chain lenay
nahin detey kissi taur mujhey Teri yaadon ney jo tofaan uthaa rakha hai Janay walay ney kaha thah keh wo lautey ga zaroor Aik
issi aas pe derwaza khula rakha hai Terey janay sey jo aik dhool uthi thi ghum ki Hum ney us dhool ko aankhon mein basa rakha
hai Mujh k
---
ya rab humain tuj say koi gilla bhi nahi wo naseeb main nahi tha is leya mila nahi seencha tha jiss chaman ko apnay dill kay
lahoo say phir keyo barsaat main koi phool khila nahi na lagaay koi chot is dill_e_ natawan per abhi tu phichla zhkam bhi muj
say siila nahi mangaa tha jhooliian utha utha kar usay magher humain dowaoon ka koi siila mila nahi
---
Kya hua jo tumhara saath nahi Mere hathon main tumhara haath nahi
Mere liye tumhari yaadein hi kafi hain Muhabbat main zaroori mulaqat nahi
Main sari umar tarsa hon chahat ke liye Mere naseeb mei shayad ye soghat nahi
Iss andaaz se bikhar kar phir simat na saka Mujhey samaitne wala hi koi haath nahi
Jis ki dosti peh naz thaa, wo dost bhi gaya Kis qarb se kaha AyAz ne koi baat nahi
One More
Apni aag ko zinda rakhna kitna mushkil hai, Pathar beech aaiana rakhna kitna mushkil hai !
Kitna aasaan hai tasveer banana oron ki, Khud ko pas-e-aaiana rakhna kitna mushkil hai !
Tumnay mandir dekhay hongay, yeh mera aangan hai, Ek diya bhi jalta rakhna kitna mushkil hai !
Chulu mein ho dard ka darya, dhyaan mein uskay honth, Yun bhi khud ko pyassa rakhna kitna mushkil hai !
Apni aag ko zinda rakhna kitna mushkil hai, Pathar beech aaiana rakhna kitna mushkil hai
---
mein kis se miloon koi bhi dil ko bhata nahiyeh zindage abb apni,dora hai per khari hai
khuloos dil se nibhaen jo koi ehad kareinyeh log kaise zamane talash kerte hain
muddaton un ko fakat un ko satane ke liyegeet gaye dil aashufta nawa ne aae dost dil gawara nahi kerta hai shikast umeedhar tagafal pe nawazish ka guman hota hai
woh yun dil se guzarte hain ke aahat nahi hotiwoh yun awaaz dete hain ke pehchani nahi jaati
---
dunya ko jahan daag nazar aate hain dil mein
iss dil mein kae zakham tumhare bhi mile hain un ki dunya mein to aise hazaron hain ajnabi
tum hi pagal the jo un ko pa ker itrane lage abb khushi ki koi baat na soche dunya mein
abb yeh alam hai ke kuch gham bhi maza dete hain dunya ne be-shumar ali ko diye hain ranj
aae dost tu bhi chiz koi yaad-gar de de dunya ki uljhanon se faraghat ager mili
roen ge hum lipat ke tere parhan ke saath humein dunya jo de gi wahi lutaein ge iss ko
yaad rakha dunya dari ko aur mohabbat bhool gaye ---
Agli Gali Main Rehta HaiAur Milnay Tak Nahin Atta HaiKehta Hai Takkaluf Kya KarnaHum Tum Main Tu Dil Ka Nata HaiKehta Hai Ziada Milnay SayWadoon Ki Khalish Barh Jai GiKuch Batain Waqt Pay Bhi ChooroDekho Tu Woh Kya Dekhlata HaiKehta Hai Tumhara Dosh Na ThaKuch Hum Ko Bhi Aisa Hosh Na ThaPhir Hansta Hai Phir Roota HaiPhir Chup Ho Kar Reh Jata HaiAye Bacho ! Aye Hansnay Waloo !Tareekh-E-Mohabbat Parh DaaloDil Waloon K Dil Qaid NahinHar Umar Main Thokar Khata Hai
--- Chalo Ab Faisla Kar LoK Jo Apni Mohabbat ThiNasha Tha Woh Jawani KaKhumar Utra Tu Yeh JanaMohabbat Yohn Nahin HotiJo Main Nay Khuwab Dekhay ThayAb In Ki Kirchiyan Hi HainAUr Zakhmi Paaon Hain MereyTumhara Hum Qadam RehnaMujhay Mumkin Nahin LagtaTumharay Aur Merey DarmianKoi Dewaar Hai ShayadYeh Hargiz Gir Nahin SaktiTumhain Woh Log Pyaaray HainJo Mujh Ko Zehar Lagtay HainMujhay Tum Ab Bhi Pyaaray HoMagar Ab Moor Aisa HaiJahan Itnay Mukhalif HainTumhain Yeh Tu Pata Ho GaMukhalif Simt Chalnay SayKabhi Manzil Nahin MiltiTu Phir Kyon Waqt Khootay HoChaloo Ab Faisla Kar LoChaloo Ab Faisla Kar Lo..........
---
Waqt To Humey Bhula Chuka Hai,Muqaddar Bhi Na Bhula De,
Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Karte,Kyunke Darte Hai,Koi Phir Se Na Rula De,
Zindagi May Hamesha Naye Log Milenge,Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge..
Aitbaar Zara Soch Kar Karna...Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge,
Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge,
Sukon Ban kar Dil Me Utar Jayenge, Mehsoos Karne Ki Koshish To Kijiye,Door Hote Hoye Bhi Pass Nazer Aayenge....
Duniya ko Dekhtey Rahey jis Nazar se Hum,
Un Aankhon Mein Humarey liye Pehchan Bhi Na Thi..
---
SAB SE CHUPA KAR
sab se chupa kar dard jo woh muskura diya....us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya.....
lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan...chehra bata raha tha k kuch ganwa diya...
aawaz mein thayrao tha aankhoon mein nami thi...or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya....
jane kya us ko loghon se thi shikayatein....tanhaiyon ke dais mein khud ko basa diya...
khud bhi woh hum se bichar kar adhura sa ho gaya....mujh ko bhi itne loghon mein tanha bana diya....
---
DIL UDDAS REHTA HAI

Bohat dino se mera Dil uddas rehta hai
Main kya karoon bas ek hi shaks yaad rehta hai

Kabhi khayaal hi nahi aata ke main akeli hoon
ab to mera dost mere saath rehta hai

tum se baat karte hue halat ajeeb hoti hai
mujhe to kuch bhi na hosh-o-hawaas rehta hai

kahin tum badal na jao kahin tum mujhe bhool na jao
na jaane kyun mujhe ab yeh khauf her waqt rehta hai

naa jaane mere Dil ko kya hogaya hai
kyun ab yeh her waqt uddas rehta hai
---
Pardes main
"Pardes mein yaad jab teri ati he..Dil rota he, ankh bhar ati he..Kya gunah kiya tha hamne?Pardes mein yaad jab teri ati he..
Kesi yeh ajeeb pareshani he..Yaad bhi teri ek pareshani he..Kabhi to sakoon milega dil koKesi yeh ajeeb pareshani he..
Din lambe, Raaten bhi lambi hein..Yaad mein hosh bhula bethe hein..Talaash ki justujo kise nehiDin lambe, Raaten bhi lambi hein..
Dil ke darwaze pe dastak ho rahi he..Aaj pirr ek yaad sata rahi he..Dil ki gehrayon me jhaank ke dekh..Pardes me aaj phirr teri yaad aa rahi he..
---
HINA HUM TUM SHOAIB
"Ho chuka intizaar ab lamhaat ka khatamAb sirf hum hein ya phir tum
Zara Aankhein "moR" kar poocho Apne dil seKay tum mein nahein hein kiya hum?
Woh khawab nahein haqeqat thiKabhi chor kar aap ko gaye he nahein hum
Maan lo kay hum woh phool heinMurja kar bhi kushyaan bakheirty hein hum
Koi tasleem karey ya na kareyTumein chahein ghein apna bana kar sada hum
Haan waqia hi!ab aik hi rasta haiKay mil jaye hum aap say hum
Jeena mushkil hai bagheir aap kay fani dunya meinKay pal bar phir bhi guzartey nahein tumarey bina hum
---
K H O W A B
Sunao Tum Koee Khowab Apna
Pher Uske Tabeer Sochnay Do
Raat Yah Main Nay Khowab Main Dekha
Tum Tanha Ho Sara Din
Main Bheer Main Thi Or Rahe Akaile
magroor hi sahi mujhy bohat acha laga wo ajnabi to tha magar apna bohat laga rootha huwa tha hans to para mujh ko dekh kar
mujh ko to isqadar dilasa bohat laga sehra main ji raha tha jo dariya dily k saath dekha jo gour se to wo pyasa bohat laga wo
jis k dambdam se thiy basti ki ronqyn basti ujar gai to akaila bohat laga lipta huwa ho kuhr main jaisy khizan ka chand maily
libas main bhi wo pyara bohat laga......
---
aagar bhigne ka intna hi shaukh hai barish mein,toh dekho in ankhoo mein,baarish to har ek ke liye barasti hai,lekin yeh ankhen sirf tumhare liye baraste hain.
---
aise barsaat main.......teri yaad aati hai bahut,hawaon ke jhonke mein...tu tarpati hai bahut,har bund pe jaise...teri hi khushboo basi hai,barish ke.. is mausam mein tu satati hai bahut.
---
ae barish zara tham ke baras,jab mere yaar aa jaye to jum ke baras. pehle na baras ki woh aa na sake,phir itna baras ki woh ja na sake.
---
@@..Aye Dil Bata..@@
Aye dil aaj bata de mujhe,Tu gum-sum aur itna pareshan kyu hai ?

Pyar ke zakhm abhi bhare to nahin,To us ajnabi ka phir se arman kyu hai ?.

Ansoon baha uske liye jo kadar bhi jane,Ek ajnabi ke liye askhon ka balidaan kyu hai ?

Phoolon ki mar se hi to angin tukde hue tere,Aab kaanton ko apna le, chahat-e-gulistan kyu hai ?
Ek shaks ko hi to ruksat kiya apne ghar se tumne,Apno ke hote hue tera ashiyana sunsan kyu hai ???
---
Chehre pe khushi chaa jati hai
ankhon mein suroor aajata hai
Jab tum MuJhe apna kehte Ho
apne app pe guroor Aajata hai

Tum husn ki khud ek dunya Ho,
shayad yeh tumhain maloom nahi
Mehfil Mein Tumhare Aane Se ,
Har Chiz Pe NooR Aajata Hai

Hum pass se tum ko kiya dekhen
JaB TuM MukaBiL HotE HO
BetaaB NigHaooN Ke AaGe ,
Parda sa Zaroor Aajata Hai

Jab Tumse MohabbaT ki Humne
Tab jake kahin yeh raaz khula
Marne ka Saliqa Aatey Hi
Jeene ka Shaur Aajata Hai..
---
Maire Sabar Ka Na Ley ImtihaanMairi Khaamoshi Ko Sadaa Na DeyJo Tairay Baghair Na Ji SakeyUsey Jeene Ki Too Duaa Na Dey

Too Azeez Dill-o-nazar Sey HeyToo Qareeb Rag-o-jaan Sey HayMairey Jism-o-jan Ka YehFasla Kaheen Waqt Aur Barhaa Na Day

Tujhay Bhool Key Na Bhulaa SakoonTujhay Chah Key Bhi Na Paa SakoonMairee Hasratoon Ko Shumaar KarMairi Chahatoon Ka Silaa Na Day

Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Main ThiMairey Tan Badan Say Lipat GaiJo Bujha Sakey To Bujha IiseyNa Bujhaa Sakey To Hawaa Na Dey
---
Dhundhati hai tujhe koo meri yeh nazar.keya hoo gaya hai abb nahi hai khabar.tanhaiyon main rahnay laga hun main.bas mill jaye kaheen mujhe, mera humsafar.

Kaheen to millega, yaron kabhi to millega.Dill main joo phool hai, kabhi to khillega.Nazarain bichaye baitha har gali, har Shahar.Dhundhati hai tujhe koo meri yeh nazar..... mera humsafar.

Ratain abb to kat-ti nahi.Wooh meri nazar say hat-ti nahi.Uss kay liye main huun beqarar.bas ab uss kaa hie hai intezaar.

Kaat nahi sakta abb main uss kay bin, koi safar.Dhundhati hai tujhe koo meri yeh nazar......mera humsafar.

Wooh sapnoo main meray attie hai.Mujhe koo chupkay say bataatie hai.Main payaar tujhe say karttie huun.Yaar main bhi tujhe pay marttie huun.

Kaheen tutay na yeh sapna,mujko lagata hai dar.Dhundhati hai tujhe koo meri yeh nazar......mera humsafar.

Dhundhati hai tujhe koo meri yeh nazar.Keya hoo gaya hai abb nahi hai khabar,Tanhaiyon main rahnay laga huun main,Bas mill jaye kaheen mujhe, mera humsafar.
---
~KHUSHI~

Khush na ho itna kay agar ye teri baraat hai

Jaan jay ga tu jaldi kya teri auqaat hai

Azdawaji zindgani ki haqeeqat hum se puch

Char din ki chandani hai phir andheri raat hai.

~TUM MERI~

Tum meri mehbuba ho ghar per meri bewi bhi ho

Sar pe zimadarian hain teri chahat kay siwa

Kuch kitchin main kaam hai bachoon ko nehlanja bhi

hai

Aur bhi ghum hain zamanay main bohabbat kay siwa.
---
Tu Nay Kabi Socha haiTu nay kabi socha hai Raat kya pechlay payher tujay Kon pukarta haiTary lay kon ansono sayTakeye bharta haiKon shab bher chand kyaHamera beqarar rahta haiTu nay kabi socha haiJub bahare ati haiKon tary lay Musam kya phool chunta haiTu nay kabi socha hai
---
Dosty aik rishta hai ahsaas hai Doosty pehli baarish ki boondoon mai hai Doosty khiltay phooloon ki khushboo mai hai Doosty dhaltay sooraj ki kirnoo mai hai Doosty har nayay din ki umeed hai Doosty khwaab hai,doosty jeet hai Doosty pyaar hai,doosty geet hai Doosty doo jahanooo ka sangeet hai Doosty har khushi,doosty zindagi Doosty agahi,rooshni,bandagi Doosty sang chalty hawaooon mai hai Doosty inn barasty ghataooon mai hai Doosty doostooon ki wafaooon mai hai haath uttha kay ju maangi gayi hai dua Doosty ka asar inn duaooon mai hai....!!!
---
Koi Aarzoo ban phir tu meri aankhoN main samaati jaa…ragoN ki ravani ban tu meri dhadkano main samaati jaa…
Khada HuN tere intzaar maiN sadiyoN se is kainat main..Mere jeene ki khathir hasratoN ko ek aawaz lagaati jaa…
Janta huN tu hai mujh bin adhuri tabhi mere roobroo hai…huN talabgaar jinka un lafzoN ko bas ek bar sunaati jaa…
beete yuN din judaai ke ki har diN saaloN sa mujhe laga…sookhte in laboN ki apne laboN se tu pyaas ko mitaati jaa…
Is milan ke baad phir ek lamba intzaar hi hai meri kismat…Kar sakuN ise bhi paar armanoN maiN wo aas jagaati jaa…
tu na jane ki hai mukkamal tere hi saaye se mera jahaN…jana hai to is jahaN ko apne hathoN se tu yaar lutaati jaa..
jee utha phir tere aane se, toot-ta mera ye ‘saccha_pyar’tujh bin kaise chaleNgi, sansoN ko tu ye raaz bataati jaa…
---
Na Woh Farishta Ho...!!! Na Woh Farishta Ho Na Farishtey Jaisa HoMujhay Talash Hay Us Ki Jo Meray Jaisa HoMeray Khaluos Ko Pehchanta Ho Bas Kafi Hay
Woh Koi Bhi Ho,Kahin Bhi Ho,Kaisa Bhi HoJo Khuwab Denay Ko Qadir Ho Meri Aankhoon Ko
Meri Muhabbat Ko Pehchan Sakay Woh Aisa HoMeri Khatir Marney Ka Hosla Bhi Rakhta Ho
Agar Kabhi Rooth Jaoon May Us Say ToMuskra Kay Manayee, Woh Aisa Ho
Jo Baat Karey To Woh Nibha Bhi SakeyIradon Mein Woh Apney Chahtaoon Jaisa Ho
Dukhon Mein Hansney Ka Hunar Janta HoIk Aisa HumSafar Jo Samander Ke Tarha Gehrah Ho
Us Kay Pyar Ke Thandak Ho Meray Liyae AiseKey Woh To Bilkul Aasman Kay Chand Jaisa Ho
Woh Sirf Mera Ho Jo Nighaoon Main Haya Rakhta HoUmar Bhar Sath Chalay Woh Aisa Hooo...!!!Mujhay Talash Hay Us Ke Jo Meray Jaisa Hooo...!!!
---
JUB DIL TOTETA HAI
jub dil toteta hai tu
dil khono kay ansoo rota
hai ise taklefe ka andaza
wohi laga sakta hai jo ise
taklefe say guzera ho
ankhono main asi takleaf
hoti hai kya pher ankhono
say ansoo nahi khono bahny
lagta hai khud say naferzt
ho jati hai dil torany wala
tu ik pal main dil tore data
hai ya jany bager kya jis
ka dil tota hai ise ka kya
haal ho ga.
---
kise kya ik ansoo say hazerono dil tarptay hain
kise ka umer bar ka rona younhi beqar jata hai
---
jurtay hoy dakha nahi toty hoy dil ko
gire jaty hain jo aseq utahy nahi jaty
---
Hum Yaad Rakhty Hainkoi be musum ho hum yaad rakhty haintari baatono say ise dil kobhout abade rakhty hainkabi dil kya safaye pertujay tasveer karty hainkabi palkono ki chaono maintujay zingeer karty hain
---
SACHI MOHABBAT
Mani khazinay kya musam main darhatono say
girtay zarad patono per apnai mohabbat ka
paygame lik ayi hono ya soch kar kya kabi
ajnabi hawanono kya jhonkay ine zarad patono
ko uara kar tumary aangan tak lay jainy
gay aur jub shadeatay gum say tumari ankhono
say ansoo baha kar ine zarad patono per
gireny tu ya samig lana k hameri
MOHABBAT SACHI HAI.
---
Palkon pe aanso'on ko sajaya na jaa sakaus ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka
zakhmon se choor choor tha yeh Dil meraek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka
jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajoodaankhon main aanso'on ko chupaya na jaa saka
kuch log zindagi main aise bhi aaye hainjin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka
bas is khayaal se kahin us ko dukh na hohum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka
woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magarchehre ka rang us se chupaya na jaa saka
tanhaiyon ki aag main hum jal gayemagar faasla ana ka mitaya na jaa saka
---
HUM MUNTAZIR HAIN

suno jo Dil main baat hai kehdo
ke hum hain muntazir kab se

tumhare chand lafzon ke
ya hum ko qaid kardaalo
ya phir aazad tum kardo
ke jazba koi bhi ho

izhaar ka mohtaaj rahta hai
yeh waqt agar haath se kho bethe
to phir pachtaoge tum bhi
lo humne aankhen bund karlin

chalo ab kehdo tum hum se
ke tum ko Humse Mohabbat hai
---
Tujh Ko Sonchtey Rahey " Ghar k dareechay se lagh ker tujh ko sonchtey rahey,Baadlon ki gargarahat mein tujh ko khoojhtey rahey.. Dhoondhney ka silsila saari raat chalta raha,Kabhi jaaghtey rahey, kabhi tujh ko sonchtey rahey.. Barish ki ek boondh pari jo mere chehrey per,Is nanhi si boondh mein tujh ko dhoondhtey rahey.. Yeh mausam bhi apne sath laata hai ek daastan,Is daastaan ko sun ker tujh ko sonchtey rahey.. Apni sonch ko itna waseeh ker dia hum ney,Keh samne sab kuch hai, phir bhi tujh ko sonchtey rahey...
---
Khaamosh tum thay aur merey Hont bhi bund Phir itni dair kaun tha jo bolta raha ?????? Raat phir khawaab main aa kar mujhse Meri ammi ne kuchh sawaal kiye Usse pahley mujhey duaa ye di Khuda karey ki tu sau saal jiye Unki aankhon main mahobbat bhi thi, Afsos bhi tha Ek aansu bhi tha un aankhon main Jo chillata bhi tha, khamosh bhi tha Mujhse poocha ki betey kaisey ho Koi diqqat to nahin hai tumko Phir kaha Tumko maloom hai kya Main badi takleef main hoon Jab se laiti hoon so nahin payee Tumhaari wajah se main khul ke ro nahin payee Terey gunaah mujhko saanp banke danstey hain Farishtey aakar har roz fiqrey kastey hain Tumhi bataao beta mainey kya kami ki thi Merey samjhaney main kami thi kya Ya meri tarbiyat adhoori thi Kyon burey kaam roz kartey ho Kyon nahin us khuda se dartey ho Jisney tumko ye jaan bakshi hai Jisney tumko amaan bakshi hai Laut kar jiske paas jaana hai Kya usey munh nahin dikhana hai Kya tumhein is liye padaya tha Kya tumhein yehi sab sikhaya tha Ki apney ilm par guroor karo Apney nafs ko masroor karo Jab bhi bolo to bas galat bolo Zulm dekho to lab nahin kholo Chodkar deen bhool kar mazhab Apni auqaat note main taulo Sach batao ki kya ye qissa hai Kya ye andaaz meri tarbiyat ka hissa hai Mujhko afsos nahin ki tu mujhey bhool gaya Ranj ye hai ki mera jeena hi fizool gaya Main to markey bhi roz marti hoon Main tujhey roz yaad karti hoon Jis tarah jeeney ka agaaz kiya hai tuney Uskey anjaam se main darti hoon Khuda karey ki tujhey ab bhi samajh aa jaye Koi to aakey tujhey seedhee raah dikha jaye Ki ikhtitaam ho teri gunah ki shaamon ka Mujhey bhi ajr miley terey naik kaamon ka
---
Kasy hian ya loog ------kasi ahi dunya
Karty hain sab karty hain sab dawa daty hain sab daga
Insane koo apni pahchan nahi ----har acha bura baman nahi
Wooh joo rasty main hi sath chor daty hain ----
Sab umeedin toor daty hain----jasi hain tanhayin wasi hain raswiyain
Koi too kisis ka sath day hathoon main kisi ka hath lay
Gulshan main sab phoool khalin ------
Angan angan khalin khalyain
Per kaya kaya jay joo chor daty hain rasty mian hi hath
Koi too unkoo samjay manzal per too pancha aoo
Phr chahay chaly jaooo----kon hian ya tabhayaun ka pasban
Kon hai ya ----raswayin ka naghaban
Jab koi kisi koo lakr chaly too akhar tak sath chaly
Chahy hooo admi ya hoo urat
Sab hain aik insaf kay mosthak -----yahi hai bandgi yai hai zindagi
Doosroon kay joo aty hain kaam-----rakhty hian sab kay gam
Apny gam koo rakh kar aik side per barty hian dosroon ka damm
Woohi hain insane ------wohi hain banda parwar farshton kay bays main hain wooh insane
Kasha Allah bana day hum sab koo asa insan
---
Bholana Apne Bas Mein

Bholana Apne Bas Ho Tu Tum Ko Bholaonga
Apne Dil Ke beqarariyaan Kabhi Tum Ko Sunaoonga

Tere Kehne Pe Ya Assol Apna Liya Dost
Takleef Bhi Pohanchay Gar Tu Muskuraoonga

Dil Ke Baat Har Baar Dil Mein Reh Jati Hai
Haal-e-Dil Kis Tarhan Tujh Ko Sunaoonga

Tarpaya Hai Jis Tarhan Tuney Mujhey
Kabhi Aye Ga waqt Mein Tujh Ko Tarpaoonga
---
Mein Ne Us Ko Salam Likh Bhejja, Haal-e-Dil Tamaam Likh Bhejja.. Mein Ne Poocha Tere Hont Kaisey Hain, Us Ne Ik Lafz Jaam
Likh Bhejja.. Mein Ne Poocha Tere Baal Kaisey Hain, Us Ne Qudrat Ka Inaam Likh Bhejja.. Mein Ne Poocha Kab Ho Gi Mulaqaat, Us
Ne Qayamat Ki Sham Likh Bhejja.. Mein Ne Poocha Itna Tarpaati Kyon Ho, Us Ne Jawani Ka Intiqaam Likh Bhejja.. Mein Ne Poocha
Tere Khad-o-Khaal Kaisey Hain, Us Ne Husn Tamaam Likh Bhejja.. Mein Ne Poocha Tujhey nafrat Kiss Se Hai, Us Ne MERA Hi Naam
Likh Bhejja

No comments: